Prayers

Aarti

Aum jai shri shyam hare, baba jai shri shyam hare
Khatu dham virajat, anupam roop dhare, aum jai shri shyam hare...
Ratan jadit sinhasan, sar per chanvar dhure
Tan keshariya baago, kundal shravan pade, aum jai shri shyam hare...
Gal pushpon ki maala, sir pe mukut dhare
Khevat dhoop agni par, deepak jyoti jale, aum jai shri shyam hare...
Modak kheer choorma, suvaran thaal bhare,
Sevak bhog lagaavat, seva nitya kare, aum jai shri shyam hare...
Jhanj katora aur ghadiyaaval, shankh mridang dhure,
Bhakt aarti gaave, jay jay kaar kare, aum jai shri shyam hare...
Jo dhyave phal paave, sab dukh se ubare,
Sevak jan nij mukh se, shri shyam shyam uchare, aum jai shri shyam hare...
Shri shyam bihariji ki aarti, jo koi nar gaave
Kahat alusingh swami, manvanchit phal paave, aum jai shri shyam hare...
Aum jai shri shyam hare, baba jai shri shyam hare,
Nij bhakton ke tumne, pooran kaaj kare, aum jai shri shyam hare...

Vinati

Hath Jod Vinti Karu, Sunio Chit Lagaye.
Das Aa Gayo Sharan Me, Rakhio Mahari Laaj.
Dhanya Dudharo Desh Hai, Khatu Nagar Sujjan.
Anupam Chavi Shri Shyam Ki, Darshan Se Kalyan.
Shyam-Shyam To Ma Rattu, Shyam Hai Jiwan Pran.
Shyam Bhakat Jag Me Bade, Unko Karu Parnam.
Khatu Nagar Ke Beech Me, Banyo Apko Dham.
Phalgun Shukla – Dwadashi, Utsav Bharti Hoaye.
Baba Ke Darbar Se, Khali Jaye Na Koye.
Umapati, Laxmipati, Sitapati Shriram.
Lajja Sabki Rakhiyo, Khatu Ke Baba Shyam.
Paan Supari Ilachi, Attar Sugandh Bharpur.
Sab Bhaktan Ki Vinti, Darshan Devo Hazoor.
'Alusingh' To Prem Se, Dhare Shyam Ko Dhyan.
Shyam Bhakat Pawe Sada Shyam Kripa Se Maan.